Tuesday, May 22, 2012

Khana Kaba 1979

Ye 20 November 1979 yeni 1st Muharram 1400 Hijri ki baat hai. Subah ki Namaz ki Imamt k baad Imam-e-Kabah, Ibn-e-Sabeel ek Dead Body ka Janaza parhanay k liye abhi uthay hi thay k Achanak Kaslashankof k Brust chalnay ki awaz aayi. Aur phir aglay hi lamhay “Jaheeman” naam k ek shakhs nay Imam-e- Kabah se Mike cheen lia. Imam-e-Kabah nay Muzahimat ki to Jaheeman k Sathyon nay unhay Torture kr k Khamosh kr dia. Ye sara manzar Khanahh Kabah main ho raha tha. Namazi Shadeed Firing se preshan ho k jab bahir ki traf bhagay to Jaheeman k sathi k tmam k tmam 51 Gate Lock kr chuke thay. Jaheeman nay Imam-e-Kabah se liye gaye Mike pe kaha k hamara Hukam is waqt Makkah, Madina aur Jadda tk pohanch raha hai. Mainn Elan krta hu k Imam Mehdi ka Zahoor ho chuka hai. Aur wo meray sath hain. Ap log hamara sath dain. Jaheeman k Sathyon nay Masjid-e-Haram main Namaz k liye aanay walon se Zabardasti kaam lena shuru kr dia tha. Jawano se kaha gaya k wo Weapons ka Stock fori tor pe Masjid k 292 Foot buland Menaaron pe ponhcha dain aur Boorhay Afrad se kaha gaya k wo foran Masjid k Kaleen fold kr k 51 Darwazon k samnay dher kr dain ta k Darwazay na khul sakain aur bahir se Army ya Police Operation k liye andar na aa skay. Ab Soort-e-Haal ye thi k Khanahh Kabah aur Masjid-e-Haram smait keyi Amaarton pe Jaheeman aur us k Sathyon ka mukammal Control tha aur amlan Tawaf-e-Kabah pe Pabandi lag chuki thi. Q k Tawaf ki soorat main Mazeed Jaanon k zayah honay ka Khatrah tha. Ap k zehan main ek Sawal zaroor aa raha ho ga k itna Aslaha itni Security honay k Bawjood Khanahh Kabah tk kesay ponhchgaya. Khanahh Kabah ki Amart Masjid-e- Haram k Ahaatay ka hissa hai. Jawab jan’nay k liye Topic “Bombay Attack 2008” Mulahiza karain:
26 Nov 2008 ko India k Shehr Bombay main Narwan Hotel pe Hamla hua tha jis main 150 se zyada wo log mrray thay jin ka Ta’alukk Israeel, Franceaur America se tha. Ye sub log Mosaad, C.I.A aur R.A.W k Agent thay aur Hotel k Rooms main reh rehay thay. Dusray Alfaz main Pakistan main honay walay Khud Kash Bomb Dhamakon ka Main Head Quarter Bombay ka Narwan Hotel tha. Kashmiri Mujahideen ko jab pata chla k Pakistan main Khud Kash Hamlon k Master Mind Bombay main bethay hain jo yahan se Target chun kr Doller Phenktay hain aur udhar 20 se 30 Lashain gir jati hain. To Kashmiri Mujahideen nay Bombay pe Attack ka Faisla kia. Bombay ka Shehr Karachi ki trah Samandr k kinaray Abaad hai. Jis trah Karachi main Rozana Hazaron Fisherman West waharif aur Fisheri se Machli lay k puray Shehar main phel jatay hain aur Sham tak Sale kr k apni Rozi kamatay hain. Bilkul isi trah Bombay b Fishermano ki Jannat hai. Mujahideen nay Kafiron k Mohron ko Kuchlnay k liye Fisherman ban’nay ka Faisla kia.
Mujahideen Machli Mandi gaye aur apnay Bags main Mojood Aslaha k upar Machliyan Khareed k rakh leen aur baqi Fishermano k sath Shehar ki tarf chal paray. Mujahideen nay apnay Mission k liye Fisherman ban’nay ka Faisla hi Q kia? Wo Tajir ya Wakeel k Roop main apnay Target tak Q na gay? Meri Mulaqat ek aesay Mujahid se huyi jo is Team ka hissa to nehi tha ta-ham is Hamlay k waqt woh Bombay main Mojood tha. Mainn nay us se yehi Sawal kia to us nay kaha k chaun k Machli aur Machli k Sale Man se sub ko Smell aati hai aur log us Admi k Qareeb b nehi Bhatktay aur na hi Security walay us Admi ko ya us k Bag ko check krtay hain, so Mujahideen nay Shave krwa k Fisherman bannay ka Faisla kia tha. Mujahideen Aslahay aur Machliyon se bharay Bag lay k bina kisi Talashi k apnay Thikanay pe ponhch gaye. Aur phir kuch din baad ek naye Roop main Dushman pe Hamla Awar ho gaye. Yaad rehay k ye wohi Hamla tha jis main Ajmal Qassab Hero ban k samnay aaya tha. Ye waqya mainn nay is liye ap ko sunaya hai ta k Khanah Kabah tak Aslaha kesay Ponhcha k Sawal ka Jawab ko samjhnay main Asani ho.
Makkah main log apnay mrnay walon ki Dead Bodies Tabooton main band kr k har Farz Namaz k baad Khanahh Kabah k Ahaatay main latay hain ta k Imam-e-Kabah is pe Namaz-e-Janaza parhha dain. Aaj b Imam-e-Kabah hr Farz Namaz k baad Masjid-e-Haram main Janaza parhatay hain. 1979 main jin Dead 
Bodies k Taboot Khanah Kabah main laye jatay thay un Tabooton ko Check nehi kia jata tha. Jaheeman aur us k Sathi kafi din se na sirf Imam-e-Kabah k peechay Namaz parh rehay thay balkay hr Cheez ki Nigrani b kr rehay thay. Isi Nigrani main Lashon k wo taboot b thay jo without Checking aa rehay thay. So Jaheeman aur os k Sathi keyi ek Tabooton aur Saman ki Petiyon main Aslaha lay kr 19 aur 20 Nov
1979 ki Darmyani Shab ko Masjid-e-Haram ponhch gaye. Aur Tabooton ko Mukhtalif jag’hon pe rakh kr Subah honay ka intezar krnay lgay aur phir Subah ki Namaz k baad wo sub kuch kr dia jo ap nay abhi parha.
  Khanahh Kabah k Ahaatay main mojood Hakoomti Ahl-e-Karon k pass sirf Danday thay jo Biddaton ka Irtkaab krnay walon ko Rah-e-Rast pr lanay k liye thay. Zahir ha k Dandon se Klashankofon ka Muqabla nehi kia ja skta. Sarkari Ahl-e-Kar foran bhaag gaye. Saudi Farman-Rwa Shah Khalid nay is Hamlay ki Itlah miltay hi Puray Mulk k 30 Ulma ki ek Hangami Meeting bulayi aur un se pucha k Makkah pe Hamla krnay walon k Leader nay Imam Mehdi k Zahoor ka Dawa kia hai. Ap mujhay btayen k kya Imam Mehdi k Zahoor ka waqt aa chuka hai? Kya jis Shakhs ka Naam Jaheeman nay Imam Mehdi k liye dia hai wo waqayi Imam Mehdi hai? Shah khalid k Sawal pr Tmam Ulma nay Mutfika Jawab dia k ye Shakhs Imam Mehdi nehi hai. Q k Imam Mehdi ki Nishani ye hai k wo kisi b Be-Gunah ko Qatal nehi kray ga. Lekin Jaheeman aur us k Nominate krda Imam Mehdi Muhammad Abdullah nay keyi ek Muslmano ko Bila-Waja Maar dala hai. Ulma nay ye b kaha k Imam Mehdi k ek Nishani ye b hai k wo aur Hazrat Isa (A.S)Irank Shehr “Isfahan” se aanay walay 70,000 Yahudiyon se larain gay. Aur un 70,000 Yahudiyon ko Qatal karain gay. Jab k is waqt to Isfahan main 70,000 Yahudi to kya 700 b Shayed nehi hain. Ulma ki tarf se ye Itmenan kr lenay k baad Shah Khalid nay Jaheeman aur us k Sathiyon k Khilaf Operation ka Faisla kia. Oepration k liye sub se pehlay Police ko bhejagaya. Lekin Police ko ek b Bullet Fire krnay ka Mauka na mila aur Police ki puri Van apnay Soldiers smait Tabah kr di gayi. Jaheeman k sathi Masjid-e-Haram k 292 Foot oonchay Menaron pe Qabiz thay aur un Menaron se unhain puray Shehar ki Streets aur un main honay wali hr Harkat saaf Nazar aati thi. So jesay hi unhain Police apni tarf aati dikhayi di, unhon nay Beljiam ki tayar krda 600 Meter Range ki FN FAL naam ki Gun se un ka Sfaya kr dia. Police ki Nakami k baad ab Army ko bulaya gaya. Army ki tarf se Operation main hissa lenay k liye National Gaurd ki jis Unit ka Intekhab kiagayaus ki Command Major Shamoon k hath main thi. Is Unit ne Operation to bari Mansooba-Bandi se kia tha lekin Operation k kuch Nuqaat k Leak Out honay aur Baghiyon k Alert honay ki wajah se is Unit ka na sirf Operation Intehayi Buri trah Nakam raha, balkay Unit apnay bohat se Officers aur Jawanon se b Mehroom ho gayi. National Gaurd ki Nakami k baad fori tor pr Tabook Rangers ko C.130 Jahaz k zariye Makkah layagaya. Tabook Rangers ki is Unit ki Command Kernal Hameed kr raha tha. Kernal Hameed se ek Saudi Shehzaday nay Planing k baray main pucha to Kernal nay Fauji Lehjay main kaha k, Sir ap meri Planing nehi balkay mera Result dekhiye ga. Kernal ka pehla Task Sfah aur Marwah k drmyan waqeya us Galary ko Clear krna tha jo Hajiyon k liye Sfah aur Marwah k drmyan Sa’ee ka Kaam deti thi aur ab Jaheeman k Sathiyon k Qabzay main thi. Kernal Hameed Galary main Dakhal hua aur Shair ki Trah Baghyon pe Jhapta. Kernal Hameed ka MuQabila 200 se zyada Baghiyon k sath tha.
Kernal Hameed ki Buhadri apni Misaal ap thi. Kernal Hameed ki Kalashankof se nikli Bullets nay bohat se Munafiqon ko Thanda kr dia tha. Baghi chaun k Andheray main thay, is liye wo Andheray ka Fayeda utha kr Kernal Hameed ki Leadership main lrnay walay Tabook Rangers k Jawano pe Pin Point Firing kr rehay thay. Isi doran ek Bhatki huyi Goli Kernal Hameed ka Seena Cheerti huyi Guzar gayi aur wo Shaheed ho gaye. Jab tk Kernal Hameed Zindah raha tab tak Tabook Rangers Chattan bani rehi. Lekin jesay hi Kernal Shaheed hua Tabook Rangers Himmat Haar gayi. Aur foran Paspa ho gayi. Isi doran 23 November 1979 aan ponhcha. Ye Jumma ka din tha. Islam ki Tareekh main pehli martba Khanah Kabah main Jumma ki Namaz na ho ski. Khanah Kabah main Jumma ki Namaz ka na hona puri World k Muslmano k liye Intehayi AfsosNak tha. Sadar-e-Pakistan General Zia-Ul- Haq nay Shah Khalid ko Call kr k kaha k ap hamain mauka dain. Mein Pakistan se aesay Sher bhejon ga jo minton main un Munafiqon ka Sfaya kr dain gay. Is par Shah Khalid nay kaha k ap ka Shukriya lekin meri Majboori ye hai k aaj agar mein nay ap ki ya kisi b Mulk ki Force ko Hamlay ki Ijazt dey di to Saudi Arab ki jab b Tareekh likhi jaye gi to Mo’arrikh yehi likhay ga k Saudia ki 50,000 Army main itna b dham nehi tha k wo 200 Baghiyon se lar sakti. Aur 200 se lrnay k liye 50,000 ki bahir se Foaj bulani pari. Shah Khalid apni jaga durust tha. Baghi intehayi be-jigri se lar rehay thay. Un k larnay k andaz se saaf lag raha tha k wo intehayi Training yafta Army ka hissa hain aur unhain kisi Forein Country ki Imdad hasil hai.
Shayed isi Khayal k Pesh-e-Nazar Shah Khalid nay foran Caneda ki us Telephonic Company se rabita kia jis nay puray Saudia main Telephone k taar Bichhaye thay. Shah Khalid nay kaha k foran Saudia ko baqi dunya se milanay walay taar Disconnect kr diye jayen. Company nay is Hukam pe amal kia aur Communication System k anay k baad pehli martba Saudia sari Dunya se Cut gaya. Baad main phir se Taar Connect kr diye gaye. Masjiad-e-Haram main Hazaron Muslman thay jinhain Jaheeman nay Yarghamal bnaya hua tha. In main Imam-e-Kabah “Ibn-e-Sabeel” b thay. In Yarghamaliyon main

Indoneshia k log sub se

zyada Jaheeman ko Tention

dey rehay thay. Wo ek to

Arbi nehi samjhtay thay

dusra wo Jaheeman ka kehna nehi mantay thay.

Jaheeman nay is Tention se

jaan chhuranay k liye tmam

Indoneshians ko reha kr dia.

Jab ye Indoneshian

Yarghamali reha ho k ja rehay thay us waqt Imam-e-

Kabah b Roop badal kr un

main Shamil ho gaye aur

Jaheeman ki Ankhon main

Dhool Jhonk kr Masjid se

nikal aaye. 3 Oprations ki ykay-baad-deegray Nakami

k baad Saudi Afwaj nay

Baktar Band Garian Medan

main lanay ka Faisla kia.

Agarchay Police, National

Gaurd aur Tabook Rangers in Operations main apna Target

hasil nehi kr ski thi, ta-hum

in 3ino Operations main

inhon nay Jaheeman ki aadhi

Power Khatam kr di thi.

Baghyon ki Main Power un k 292 Foot Buland Menarao

main bethay sathi thay jin ka

Sfaya zruri tha. Is liye Saudi

Afwaj nay Menaro par

bethay Munafiqon ko

Kuchlnay k liye Mezail istemal krnay ka Faisla kia.

Naye Mansoobay k Mutabiq

pehlay Menaro pe Mezail Fire

kr k un main Mojood

Jaheeman k Sathiyon ko

Khatam kiagaya. Phir Baktar Band Gari M.113 ko Galary

main utaragaya. In Baktar

Band Gariyon nay Galary

main Ghustay hi Tbahi Macha

di. Baghi jo Masjid-e-Haram k

Menaro pe apnay Sathiyon ki Maut k baad bohat Mayoos

thay, in Baktar Band Gariyon

ki Amad pe Himmat Haar

bethay. Lekin abhi tak

Jaheeman aur Khud-Sakhta

Mehdi Muhammad Abdullah Zinda thay. Is liye unhon nay

tmam Sathiyon ko Ikatha kia

aur un main Himmat aur Josh

peda kr k un ko naye siray

seMedanmain utara.

Jaheeman k zyada tar Sathi Maray ja chukay thay. Is liye

Jaheeman bach janay walay

Sathiyon ko Jangi Hikmat-e-

Amli k tehat ek The-Khanahy

main ley ja kr Roposh

hogaya. Bus chand ek Sathiyon ko us nay Galary

main rehnay dia, ta-kay

Baktar Band Garion ko tabah

kia ja skay. The-Khanahy

main ek Kitchen tha jis main

wo Talba Khanah Pkatay thay jo Masjid-e-Haram main

reh k Taleem hasil krtay

thay. Jaheeman ko wahan se

Gas k Salandar aur Petrol k

Cane milay. Jaheeman nay

Salandar Baktar Band Gariyon k Rastay main rakh

diye, ta-kay Gari us pe aa k

Tabah ho jaye. Lekin aesa na

ho ska. Ye Mansooba Nakam

dekh kr Jaheeman nay ek

neya Plan apnaya. Jaheeman nay chhotay chhotay Petrol

Bomb bna k un ko Baktar

Band Gariyon k andar

Phenkna Shuru kia. Ye Plan

Kamyab raha aur Baktar

Band Gariyon ki Pesh Qadmi ruk gayi. Lekin Pesh Qadmi

ruknay tak in Garyon nay

Galary main mojood tmam

afrad ka Sfaya kr dia tha. Ab

Baghi sirf The-Khanahy main

Mehsoor ho k reh gaye thay. Dushman ko The-Khanahy se

Nikalnay k liye Saudi Forces

nay Aansu Gas k Shell andar

Phenkay. Lekin Jaheeman k

sathi Gas se bachnay ka

Intezam pehlay se kr chukay thay. The-Khanahy main

mojood Pani se Kapray ko

Geela kr k Jaheeman k

Sathiyon nay khud ko Gas se

Mehfooz kar lia tha. Isi doran

Khud-Sakhta Mehdi Muhammad Abdullah jo

Masjid k ahatay main

mojood tha, ki Maut ho gayi.

Abdullah ki Maut ka sabab ye

bana k jab Saudi Forces

Dushman pe Garnaid Phenk rehi theen to jesay hi Garnaid

Zameen pe Girta tha,

Abdullah us k Phatnay se

pehlay Bhag kr usay uthata

tha aur wapis Forces pe

Phenk deta tha. Isi koshish main 1 Garnaid us k hath

main Phatgayaaur wo

Margaya. Saudi forces ko 2 Hukam

Intehayi sakhti se milay thay. 1: Operation k doran Khanah

Kabah ki Amarat ko koi Goli

na lagay. 2: Jaheeman aur us k

Sathiyon nay jin Logon ko

Yarghamal bana rakha hai.

un ki Jaan bachayi jaye. Is

liye Saudi Forces Intehayi

Ehtyat se Karwayi kr rehi thi. Dushman ko The-Khanahy se

Nikalnay k liye jab Ansu Gas

Nakam sabit huyi to Saudi

LeaderShip nay France se C.B

Naam ki wo Gas Mangwanay

ka Faisla kia jo Admi ko Be- Hosh kr deti hai. 2 December

1979 ko C.B GasFrancese

Saudia layi gayi. Lekin ab

Masla Gas k in Shells ko The-

Khanahy main Phenknay ka

tha. Q k Jaheeman nay The- Khanahy k tmam Darwazay

Mukamal Band kr diye thay.

Is liye in Shells ko The-

Khanahy k andar Phenknay k

liye Saudi Forces nay Masjid-

e-Haram k Farsh yeni The- Khanahy ki Chhatt main Drill

Machino se Sorakh kiye.

Sorakh krnay k baad Saudi

Forces nsy un main C.B Gas k

Shell phenkay. Shells k

Phatnay se aesi Gas Kharij huyi jis se tmam Baghi Be-

Hosh ho gaye. Saudi Forces

nay Barood lsga k The-

Khanahy ka Darwaza tora

aur The-Khanahy main dakhil ho

gaye. Andar Dakhil ho kar

Saudi Forces nay na sirf

tmam Be-Hosh Baghyon ko

Arrest kia bal-kay

Yarghamaliyon ko b reha krwaya. Yahan pe kuch log ek kahani

bayan krtay hain. Kahani ye bayan ki jati hai k

Is Operation main Saudi

Forces se The-Khanahy main

Chhupay huye log nehi nikal

rehay thay. Jab Saudi Forces

nay tmam Harbay istemal kr liye to Finaly unhon nay

Pakistan Army ko Operation

k liye bulaya. Pakistan Army

nay The-Khanahy main Pani

chhora aur phir us Pani main

Currant yeni Bijli chhor di. Jis se sb Baghi bahir aa gaye.

Pakistan Army ki ye

Mansooba-Bandi dekh k

tmam Saudi Heran reh gaye. Ye sari Kahani Jhoot hai. Na to Saudi Forces

nayPakistanko is Operation k

liye bulaya tha aur na hi kisi

nay wahan Pani chhora tha. Ye Kahani Jhootay Logon k

Bemar Zehan ki Peda-War

hai. 4 December 1979 ko Masjid-

e-Haram aur Khanah Kabah

ko Saudi Govt nay Clear qrar

dia. Is Operation main Saudi

Forces k 126 Jawan Shaheed

aur 450 Zakhmi huye. Jab k 117 Baghi Halak aur 100 se

zyada Girftar kiye gaye. Girftar honay walon main

Jaheeman b shamil tha. In

sub pe Qazi ki Adalat main

Muqadma chala aur finaly un

main se 63 Afrad ko Maut ki

Saza sunayi gayi. 9 January 1980 ko Saudi

Arab k 8 Shehro main in 63

Zalimo k Sar-Kalam kr diye

gaye. Baqi bach janay walay

Qediyon main se kuch ko

Kam Umar honay ki wajah se reha kr diagayaaur kuch ko

Shak ka Fayeda dey k chhor

diagaya. Jab k kuch ko Umar

Qaid b mili. Ab raha ye Sawal k ye Baghi

kon thay aur ye Sazish Q

Wajood main aayi? Is sari

Sazish k peechay kis ka Hath

tha? Kis nay Baghiyon ko

Aslaha, Training aur Paisa dia tha? Is Sazish k Maqasid kya

thay? In tmam Swalon par 1995

tak Parda para raha. Lekin

1995 main Final Operation

main Hissa lenay walay aur

Jaheeman se Investigation

krnay walay Captain Retired Abu Sultan ki ek Kitab

Publish ho k Market main

aayi. Jis par pehlay Haftay hi

main pabandi laga di gayi.

Kitab ka naam tha, “Mein

Nay Dekha”. Is Kitab k ab sirf Iktasabaat miltay hain. Is

Kitab main us nay tmam

Razon se Pardah uthaya hai.

Wo Raaz kya thay. Mulahiza krain. Saudi Afwaj ko Training

denay aur usay Jadeed

Aslahay ka istemal

Sihanahay k liye Riaz,

Jaddah, aur Damam main

American Army Mojood thi. Ye aaye to Saudi Afwaj ko

Training denay thay lekin

Androon-e-Khanah in k

mqasid kuch aur thay. In ka

Maqsad Saudi Arab se All-e-

Saud ki Islami Hakoomt Khatam kr k wahanWestern

Tarzki Hakoomt qayem krna

tha. (Jis trah Aaj kalPakistanmain

American Army

aurDavisjesay Sfart Kaar Ba-Zahir to Pakistani Afwaj

ko Training denay aur 2 tarfa

Talluqat Mazboot krnay

aatay hain. Lekin Pas-e-

PardahPakistank Zehni

Bemar Logon ko Istemal kr kPakistanmain Khud-Kash

Dhamakay krwatay hain.) Riaz main Qayem American

Sfart Khanahy koAmericaki

tarf se Free Hand mila hua

tha k wo Saudia ki Islami

Hakoomt Tornay k liye wo

sub kuch kray jo zaruri ho. Is liye American Sfart Khanah

C.I.A k Agenton ko mukamal

Support Fraham kr raha tha.

Jaheeman ki Shakal

mainAmericako ek

Commander milgayatha. Ab ek aesay Shakhs ki zarurt thi

jo Imam Mehdi ka Kirdar

adaa kr skay. Books main

Imam Mehdi ki ek Nishani ye

Bayan ki gayi hai k us k ek

Rukhsar (Cheek) pe Surkh Nishan ho ga. Ye Kirdar

Dhoondnay k liye unhain

zyada mehnat nehi krni

parhi aur Muhammad

Abdullah ki Shakal main

unhain ye Kirdar b milgaya. Yaad rehay k Muhammad

Abdullah k Left Gaal pe

Pedayeshi ek Halka Surkh

Nishan tha. Europi Media nay

is waqaya se pehlay Imam

Mehdi ki Amad k Hawalay se Muslmano k Nazriyat par

Mushtamil kayi ek

Docomentries Nashar ki. Ek

tarf Yahood Nawaz Muslim

aur Non-Musilm Media Dunya

ko Imam Mehdi ki Amad k Bukhar main Mubtla kr raha

tha to dusri tarf Jaheeman

Intehayi Razdarana Andaz

main Muhammad Abdullah

ko logon k samnay Mehdi ki

Hasiyat se Pesh kr raha tha. Media aur Jaheeman ki

Tableegh se Mutasir ho kar

log Muhammad Abdullah k

Hath pe Bait kr rehay thay. In

Bait krnay walon ki Tadad

main Roz Broz Izafa ho raha tha. Jaheeman k pass Logon

ko Gumrah krnay ka main

Hathyar Muhammad

Abdullah k Gaal ka Surkh

Nishan tha. Log Abdullah ki

Gaal k Surkh Nishan se Dhoka kha k us k Hath pe Bait kar

rehay thay. Hadees main hai

k Imam Mehdi Yahudiyon se

Lray gay. Us Hadees ko Base

bana k Jaheeman aur

Abdullah nay apnay Man’nay walon ko kaha k An-Qareeb

Hamari Yahudiyon se lrayi ho

gi. Us k liye Tayari karain

yeni Aslaha ki Training hasil

karain. Followers foran

Training krnay pe Amada ho gaye. Abdullah k in Followers

ko Israeli Commandos nay

Intehayi Jadeed aur Sakht

Training di. Training k baad

ye Followers Dunya ki kisi b

Jadeed Foaj ka Muqabila kr sktay thay. Saudi Badshah Shah Khalid

har Islami Saal k pehlay din

ki Pehli Namaz Masjid-e-Haram main adaa

krtay thay. Abdullah k

Followers ki Tadad taqriban

300 tak pohanch chuki thi.

Agerchay ye Tadad bohat

kam thi, lekinAmericako 1st Muharram kiSuratmain ek

Golden Chance mil chuka tha.

AurAmericais Golden Chance

ko Khona nehi chahta tha. Is

liyeAmericanay Jaheeman ko

Task dia k 1st Muharram ko Fajar ki Namaz Shah Khalid

Masjid-e-Haram main adaa

kray ga. Is liye tum Masjid-e-

Haram aur Khanah Kabah pe

Attack kr k Shah Khalid aur

us k sath aanay walay tamam Sarkari Wazeeron ko

Maar dalna aur Hakumat pe

Qabza kr lena. Ba-Zahir

Mansooba bohat Shandar tha

lekin meray ALLAH ki

Tarkeeb kuch aur hi thi. Raat sonay se pehlay Shah Khalid

nay apnay A.D.C (Sectry) se

Next Day ka Program pucha

to A.D.C nay kaha k, Your

Excelency! Kal New Islamic

Year ki First Date hai aur Kal ki Namaz-e-Fajar ap nay

Masjid-e-Haram main Imam-e-Kabah k peechay

adaa krni hai. Shah Khalid jo

Riaz main tha, us nay apnay

A.D.C se kaha k Theek hai

tum mujhay Azan se pehlay

utha dena. Mein Jahaz k zareeay Makkah

ja k Namaz adaa kr lu ga. Shah Khalid Raat ko Soya to

Subah tak Shadeed Bukhar

main Mubtla ho chuka tha.

Subah A.D.C nsy Call kr k Shah

Khalid ko uthaya to Shah

Khalid nay kaha k Imam-e- Kabah k peechay Namaz

parhnay ka Program Cancel

kr do. Q k mujhay Shadeed

Bukhar hai. Is liye mein

apnay Mehal ki Masjid main

hi Namaz adaa karu ga. Shah Khalid smait koi b Hakoomti

Ahalkar Namaz main na aaya

aurAmericaki Planing pe

Meray ALLAH nay Pani pher

dia. Qaidiyon nay Doran-e-

Investigation tmam Raaz khol k rakh diye. Lekin jis tarah aaj Hamari

Hakumat Raymond Davis k

Mobile se Khud Kash Hamla

Aawron k tmam Raaz

aurPakistantornay ki

Sazishon ko Jaan kar Khamosh rehi. Aur I.S.I ki tarf

sePakistanmain Dehshat

Gardi mainAmericak

Mulawwis honay k tamam

Saboton k Bawjood chup ki

chadar tanay huwye hai. Same isi trah us waqt Saudi

Hukmran bAmericaya Roos k

Khilaf Bolna Inteha Darjay ki

Gustakhi samjhtay thay. Is

liye Raymod Davis ki trah ye Sangeen Saneha-e-Kabah b

Bhula diagaya. Is Waqaye k

doranPakistansmait Dunya

bhar k Islami Mulkon main

mojood American Safart

Khano pe kya Beeti? Ye phir

kabhi Publish kia jaye ga. Q k Topic pehlay hi bohat

Taweel ho chuka hai. Is Topic ki Tyari main jin

Books se Help li gayi, wo yeh

hain. 1: Makkah Ka Muhasra. Writer: Yaroslaf Tarfimof

(Non Muslim). 2: 20veen Sadi K Aham

Waqyat. 3: Ek Aur Karbla. Writer: Ibn-e-Zaid.