Mobile k zariye Mu’ashray
main jo Fahashi aur Masajid
ki Be-Hurmati ki Waba Aam
ho rehi hai.Us k Mutalliq 1
Fikar Angaiz Tehreer: Aaj kal Mobile Phone jis trah
Aam huye hain us k sath sath
Moseeqi ki Ghantian b hr
Aam-o-Khas Jagah main
phelti ja rehi hain. Gharon
aur Bazaron ko chhoriye, aesi Masajid main Namaz parhnay
ka aur aesi Majalis Wa’az
main Shirkat krnay ka
Ittefaq hua jahan Day’en se
Bay’en Mobile Phone ki Music
wali Ghantian Bajti rehi.Pardah Sama’at se
takratay hi Tawajjuh batt
gayi. Zehan Muntashir ho
gaya.Ibadat ki Yaksoyi
Khatam ho kr reh gayi.Ye to
hamara hal tha. Jis ki Jaib main ye Music Baj raha tha us
ka hal kya ho ga? Baaz Auqat
ye Shetani Awazain kai
Namazyon ki Namaz Kharab
krnay ka zariya ban jati hain
k Aam toar par ye Moseeqi ki Dhunon aur Music pr
Mushtamil hoti hain. Jab k NABI KAREEN (SAL LAH O
ALAIH WASALLAM) nay
Frmaya k: “Mujhy Aalat-e-Moseeqi
Tornay k liye bheja gaya
hai.” Yehi wajah hai k Moseeqi ki
Awaz ko SARWAR-E-KAYENAT (SAL LAH
O ALAIH WASALLAM) nay
Mala’oon Qarar dia. HAZRAT AYSHA (R.A) aur
HAZRAT ANAS (R.A) se
Riwayat hai k NABI KAREEM (SAL LAH O
ALAIH WASALLAM) nay Irshad
Frmaya: ” 2 Qism ki Awazain aesi hain
jin par Dunya aur Aakhirat
main Lanat ki gayi hai. 1 Khushi k Moqay par Bajay
Tashy ki Awaz, Dusri Museebat k Moqay par
Aao Baka aurNooha-o-Matam
krnay ki Awaz.” AAP (SAL LAH ALAIH
WASALLAM) Moseeqi se is
Qadar Ihteyat Frmatay thay
k 1 Moqay pr Ghantion ko
Nikal dalnay ka Hukum
Frmaya jo Janwaron k Galay main bandhi thi aur Frmaya
k aesi Jamat k sath nehi
rehtay jis main Ghanti ho. Baaz Riwayat main AAP (SAL
LAH O ALAIH WASALLAM) nay Sharab Noshi, Qatal-o-
Garat Giri, Raqs-o-Saroor aur
Ganay Bajany ki Kasrat ko
Qayamat ki Alamat btaya
hai. Aaj is se barh kr Moseeqi
ki Kasrat kya ho gi k Hamari Masajid aur Majalis b is
Manhoos Awaz se Goonjnay
lagi hain. Aur to aur ab ye
Waba “Haramain Shareefain”
main b Aam ho chuki hai. Wo
Muqaddas Tareen Maqamat jahan JUNAID BAGHDADI (R.T.A) aur
BA YAZEED BUSTAMI (R.T.A) Saans b Adab se lia krtay
thay. Mgar ye Shetani
Awazain wahan b Peecha
nehi chhorteen. Aur Ja-Ba-Ja
Goonjti Sunayi deti hain. AAQA-E-NAMDAR (SAL LAH O
ALAIH WASALLAM) nay to
Aalat-e-Moseeqi ki Tor Phor
ko apni Be’esat ka Maqsad
Qarar dia hai aur Umati ka
haal ye hai k dil se us ki Nafrat hi Nikal gayi aur is
Gunah ko Gunah hi nehi
samjha jata. Aur khud ko Aashq-e-Rasool
(SAL LAH O ALAIH WASALLAM)
samjhta hai. Ab to Naat main b Music aa
gaya hai. Yeni NABI (SAL LAH
O ALAIH WASALLAM) ki Tareef
k sath sath NABI (SAL LAH O
ALAIH WASALLAM) ki
Zabardast Mukhalifat b. Ye Muhabbat hai ya khuli
Munafiqat, Gustakhi ya Khula
Kufar! Ulma Karam Frmatay hain k
Gunah ka Aakhri aur Mohlik
Tareen Darja ye hai k Insan
Gunah to kray lekin Gunah
ko Gunah hi na samjhay.
Aesay Shakhs ko aksar Tobah ki Tofeeq hi Naseeb nehi
hoti. Zahir hai Tobah usi
waqt kray ga jab apnay ap
ko Gunahgar samjhta ho aur
jab apnay ap ko Gunahgar hi
nehi samjhta to phir Tobah kesi aur kis Cheez ki? Ham nay apnay Buzurgon se
suna hai k Qayam-e-Pakistan
se pehlay Musalmano ki
Gairat ka ye Aalam tha k kisi
Hindu main b ye Jurrat nehi
thi k Musalmano ki Masajid k bahar se koi Juloos ya Barat
Bajay Bajatay huye lay kr
Guzray. Lekin ab haal ye hai
k bahar nehi balkay Masajid
k andar Mobile k zariye Music
b Bajta rehta hai aur Moseeqi ki Dhunain b Nashar hoti
rehti hain. Mgar kisi ko
Aetraz ki Jurrat is liye nehi Q
k sub hi is Gunah mai kisi
hadd tak Mulavvis hain.
Matlab ye k (Khush rehay REHMAN b, Raazi rehay Shetan b.) Mobile Phone main Ring
Tones Mukhtalif hoti
hain.Ghanti ka Bajna, koi
Naghma, Khas qism ki
Moseeqi. Ap jo chahain us
main Set kr sktay hain. Usi Hawaly se Baaz log us main
QURANI AAYAT ki Tilawat
Bator-e-Ring Tones laga
letay hain. Jesay hi kisi nay
ap ko Phone kia, ap k Mobile
pr Ghanti ki bajaye QURAN HAKEEM ki Tilawat shuru ho
jati hai. Ap samjh jatay hain
k kisi Mohabbat walay nay
yaad kia hai. Aur Mobile
foran Jaib se Nikal kr Kaan se
laga letay hain. Aur Raaz-o- Niaz krtay hain. Tabadla
Khayal shuru ho jata hai. Sawal ye hai k QURAN
HAKEEM ki Tilawat ko Bator-
e-Ring Tones k istemal kia ja
skta hai ya nehi? Is ka 1 Jazbati Jawab to ye
hai k is main kuch Haraj nehi.
Bajaye Moseeqi k QURAN
HAKEEM sun’nay ko milta
hai.Lehaza ye achi baat hai. Lekin Faislay Jazbat pr nehi
Usoolon pr hotay hain. QURAN MAJEED main ALLAH
ka Farman hai k jab QURAN
MAJEED Parha ja raha ho to us
ko Khamoshi se suno. Ta k
Tum pr Reham kia jaye. Lekin jab Mobile pr QURANI
AYAT ki Awaz Buland hoti hai
to ye Hukam foran Toot’ta
huwa Nazar aata hai. Q k
Khamoshi se suna nehi jata.
Aur na hi sun’nay ki Niyyat hoti hai. Balkay foran us
QURANI AYAT ko Daba dia
jata hai. Aur Daba kar apni
Batain Start kr di jati hain.
Yeni Insan sun’nay k Hukam
ki fori Nafi ka Irtkab krta hai.J o Na-Jayez Amr hai. Sunday Timez k mutabiq
Sweedan main honay wali
Tehqeeq se ye bat samnay
aayi hai k Mobile Phone ka
Ba-Qayedah istemal krnay
walon k Dimagh main Rasoli ban’nay k Khatray main 30%
Izafa ho jata hai.
International Genral of
Onkalogi main Dimaghi
Rasoli main mubtala 1600
Afrad k 10 Year Mutaleya k baad bataya gaya hai k
Mobile Phone ka Musalsal
istemal hi Dimaghi Rasoliyon
ka Sabab hai. Ref Book: “Mobile Rehmat Ya Zehmat”
it's nice
ReplyDelete